Ranu Mandal

Ranu Mandal ne banaya Lata Mangeshkar ka mazak, Users ne Singer ki Lagai class

Ranu Mandal ne banaya Lata Mangeshkar ka mazak, Users ne Singer ki Lagai class

Lata Mangeshkar ka Gaana gaakar raaton-raat Famous huyi Ranu Mandal in dino Lime-light se door hai. Apni awaaz ked um par Internet Sensation bannane vaali Raanu ne job hi gaaya sab discussion me raha. Latest Bollywood gosips in hindi. West Bengal ke Ranaghat Station se famous huyi Ranu ne gaya ‘Teri meri kahani’ gaana release hote hi Social media Sensation ban gaya. Har taraf yeh song discussion me tha.

November 2019 me Raanu Mandal ne Himesh Rashemiya ke saath 3 gaane record kiye the. But Raaton-raat Ranu Mandal ki chamak fiki pad gyi aur yeh Star jalad hi gayeb ho gaya. Iski vajah thi logon ke saath unka bad behavior. Ab Lata Mangeshkar ke bare me Ranu Mandal ne kuch aisa bola ki har taraf unki Buraayi ho rahi hai.

Ranu Mandal ne banayaya Lata Mangeshkar ka mazak

In dino Social media par ek video viral ho raha hai. Jismen veh yeh bolti dikhaayi de rahi hai ki ye jo gaana gaa rahi hun ye koi Lata-fatta ka nahi hai. Latest Bollywood gosips in hindi. Main ye jo gaya, uska awaaz bhi accha hai. Accha tha, accha hai.

Lata Mangeshkar ka Apmaan karne par bhadke Log

Ranu Mandal ka yeh video Bahut Tezi se viral ho raha hai. Video ko dekhte hi Social media Users Ranu Mandal ko Khari-khoti suna rahe hai. Shankar naam ke User ne likha hai ki Lata ji ki Izzat karna sikho, unka naam acche se lo. Vahin ek user ne likha ki pehle acche se baat karna sikho, phir geet gaana. Ek user ne likha ki ‘Lata ji ka gaana gaakar hi famous huyi ho, mat bhulo.’

Station par Bheekh maangti thi Ranu Mandal

Aapko bata de ki Ranu Mandal Station par Bheekh mangti thi. Ek din veh railway station par hi gaana gaa rahi thi aur kisi ne video banakar social media par upload kar diya iske baad uska video tezi se viral ho gaya.

Is video ki vajah se Ranu Mandal bahut famous ho gayi. Yahan tak ki logon ne unki awaz ka compression Lata Mangeshkar ke saath ki thi.  Iske baad uski kismet badal gayi.