Smart Phone se Data Delete Hone par aise karen Restore

Smart Phone se Data Delete Hone par aise karen Restore

 

Kai baar galti se Smart Phones use Kakrte huye usmen se Videos ya Images delete ho jaati hain Phir se use vapis pana bahut difficult hota hai. Hum use vapis pane ke liye aaj aapko ek way bataane jaa rahe hain. Iske liye apne phone men aapko ek App download karni hogi. Phir delete hua Data recover karma Possible hoga. Agar aap aisa nahi karenge to aapka Data recover nahi ho payega

 

Image ko Restore Kaise Karen

 Play Store men Super Easy naam ka App download kar aap delete huye data ko Restore kar skte hain. Yeh App PNG and JPEG dono formats ko support karta hai. Is App ko Google Play Store men user ne 4.0 ki rating di huyi hai. 1 Crore User ab tak is App ko download kar chuke hai. \Abhi tak iss App ko more than 55 thousand users Review de chuke hain. Yeh App and iske sabhi features free men available hain.

 

Dumpster 

 App Delete huye Data ko bahut hi kam time men Recover kar leta hai. Kai Premium Features bhi App men diye huye hain. Others, Cloud Storage ka feature bhi ismen diya huya hai. Is Feature ko more than 2 Lakhs Users Review de chuke hain. Google Play Store se App ko more than 1 Crore Users download kar chuke hain. Is App ka size 11MB hai. App ko 4.1 ka Rating Score mila hua hai.

 

Disk Digger Photo Recovery

 Aap is App ko Google Play Store se Download kar sakte ho. Is App men bahut si Specialists hain. Is se aap phone ko Root kiye bina bhi Data Recover kar sakte ho. Yeh App aapki photo Save and upload karne kaa option bhi deta hai. App ke sabhi features free men available hain. Is App ko more than 1 Crore Users download kar chuke hai. Is App ko 1 Lakhs 83 thousand people ne Review diye hain.  App ko Users se  4.2 ka Rating Score mila hua hai. Yeh App Delete huyi photo ko hi Recover karta hai.