What are the things to keep in mind while taking an old phone

What are the things to keep in mind while taking an old phone

 

Old Phone purchase karne kaa sabse bada kaaran hai ki kam paison men jyada features vala phone mil jaaye. Aap vhi phone khriden jo aapki needs ko pura kare. Aisa naa ho ki aap Show off karne ke kaaran Costly phone ko saste men hi purchase kar len. Baad men usmmen koi Problem paida ho to iske upper bhi bhut jyada Paisa lagaana pade. Isliye needs ke mutabik ek best phone khariden.

 

Aayiye issi ke related aapki kuch help karte hai. Use karne ke liye ek cheap phone purchase kar len. Use karne ke liye 5000 se 10,000 kii range men smart phone available ho jaate hain. 10,000 se 15,000 rupees ke between smart phone available ho jaate hain. 15,000 se 30,000 rupees ke between mid range maani jaati hai. Is range ke product ke feature men kaafi difference hota hai. Jo ki different-different plan par depend hota hai.

 

Brand:  Smart Phone purchase karne se pehle brand select karma ek important role hota. Bade brand ke sath software update and customer support services ka hope rehta hai. Lagta hai ki issi kaaran se Users Big brand lena pasand karte hain. In Brands ke product bhi market men easily available ho jaate hain.

 

Operating System:  Google ka Android, Microsoft ka Window Phone, Appple ka IOS, Kai saare product available hain. India men Android Plateform bhut hi Famous hai. Iska Market share bhi sabse jyada hai. Open source nature hone ke kaaran Kai Mobile brand isi OS par phone bana rhe hain.

 

RAM And Processor :  Kisi bhi Smart phone ki speed uski RAM par depend karti hai. Is baat par bhi consternation kren ki Operating System ki Hardware need alag hoti hain. Jaise ki Window phone ke latest version men kam processor speed aur RAM ki need hoti hai. Android Phone men processor ki performance ka Idea Commonly Core se hota hai.

 

Screen:  Kisi bhi Mobile Phone ki Screen ko diagonally Size check kiya jata hai. Present time men Smart phone 4 se 6.5 inches ke hote hain. 4-5 Inch Screen vale Smart phone ko best maante hain. Agar aapko small Screen ko like karate ho to aapke liye 4-5 Inches ka screen best hai.

 

BatterySmart Phone ki Battary sabse important hoti hai. Present time men phone Removable and Non-removable battery ke saath aate hain. Non-removable battery ke saath agar Phone Paani menn gir jaye to phone damage hone ki Chance bhi kam hote hain.